Sunday, November 15, 2020

Janamdin (Happy Birthday)

 


Lo aa gaya wo din

jab dharti pe padhare hum 


dost bole happy birthday

hame lage budhe ho chale 


Birthday manane ka khayal kisko aaya

ye soch mera man lalchaya


kya hai aisa is din mai khas 

bas umar hi to badhi hai mere baap


hai aajkal ye ek junoon sa

bacche bhi bole manao mera birthday cool sa


birthday gift ka ban gaya hai culture

aur return gift bhi chal rahain hai jamkar


social media pe duniyaan deti tumhe badhai

par phone karke do bate karne mai katrai


janamdin pe karo kuch aisa

jo yaad rahe tumhe hamesha


socho ho tum kitne dhanwan

ki gaadi chal gayi ek aur saal


batoon khusiyan doosro ke saath

unki madad karke jinhe jaroorat hai aaj


janambin ko bana do wo thahrav

jahan apna nahin doosro ka bhi sochoge mere yaar


khushi manao apno ke saath 

kuch nek karo us din kisi aur ke liye bhi yaar 


waqt ho chala hai kharab

aisa lage sirf apne me simat kar reh gaye hai insan


ye duniya ek bhram si lage

pagla jane ka hame dar sa lage


sab chij ki daud lagi hai aaj 

kisi se baat karne ka samay nahin hamare paas


chalo badle is daur ko yaar

zara hatke manaye janamdin aaj


Sunday, November 01, 2020

Khush ! :)

Kya hai wo jo hame hasata

Sochta rehta ye man mera


Kabhi lage ki paisa deta ye sab khushi

phir dil kahen ki ye nahin wo chiz


kya hai wo jo hame hasata

dhoondta phire ye pagla diwana


kabhi lage ki apne yaar se mile khushi

phir dil kahe ye nahin wo chiz


Mann bole ajeeb sa ehsaas hai ye

dil bole dimag ki soch se bahaar hain ye


Samaaj bole khushi mile apno se

Dil bole apne lage parayoon mai


Ye kaisi uljhan hai na jane dil

phir bhi muskurayeen kuch yadoon main


kya hai wo jo hame hasata

mere samajh mai na aata


phir kahe dil zara gehra socho

aapne aap ko to pehchanoo 


kari koshish phir dil se hamne

ye soch ke ki kuch to fal nikle


dil bole aare naadan

samajh kyoon rahe ho ise janab


ise samjhne mai ulajh jaaoge

jo na samjhe to haasil kar paaoge


ye labzon se na ho bayan

ise to sirf rooh mai mile panaah


iske piche bhago jitna ye utna bhaage aage

jab karm karo bin fal ke ye daudi chali aaye


jab tumhe dekh log kahen bade khush ho mian 

to rooh tumhari bole JI HAAN !!