Tuesday, December 22, 2020

Talaash


Hai talaash mujhe ek chij ki jise kehte sukoon

jeevan ki is bhagdaud mai kahin ho gayi hai ghumm


katputli bane phir rahe sare 

dor kisi aur ke haath me thamai

 

kisi ko jamane ki phikar 

to kisi ko lage paisa hi hai iska uttar 


kisi ko na pata use kitna chahiye 

agar pucho to bole aur chahiye 


EMI ka jamana kharab

kamane se pehle udhari mai le doobe janab


Hai talaash mujhe ek chij ki jise kehte sukoon

kambhakth dikhti nahin kahin pai mujhe huzoor


hai ikattha karne mai laga insan

pagla na jane hai wo nadaan 


bangla, gadi, paisa sab ho jiske paas

phir bhi rato mai need na ayee use bhaisahab


jitna ikkathha kiya use khone ka dar

aadmi fas gaya is chakravyooh ke andar 


hai sukoon bada ajab janab

ye dastak de tab jab ikattha karne ki adat se chhute aap


jo karm karen phal ke bina 

jiske dil mai ho har ek ke liye dua 


doosron ke kaam aa sake aisa nazariyan rakhen

phir dekhen sukoon apna ghar basayen aapke zahan mai 


Hai talaash mujhe ek chij ki jise kehte sukoon

itna asan nahin janab ise hasil karne mai lage junoon


No comments: