Kya hai wo jo hame hasata
Sochta rehta ye man mera
Kabhi lage ki paisa deta ye sab khushi
phir dil kahen ki ye nahin wo chiz
kya hai wo jo hame hasata
dhoondta phire ye pagla diwana
kabhi lage ki apne yaar se mile khushi
phir dil kahe ye nahin wo chiz
Mann bole ajeeb sa ehsaas hai ye
dil bole dimag ki soch se bahaar hain ye
Samaaj bole khushi mile apno se
Dil bole apne lage parayoon mai
Ye kaisi uljhan hai na jane dil
phir bhi muskurayeen kuch yadoon main
kya hai wo jo hame hasata
mere samajh mai na aata
phir kahe dil zara gehra socho
aapne aap ko to pehchanoo
kari koshish phir dil se hamne
ye soch ke ki kuch to fal nikle
dil bole aare naadan
samajh kyoon rahe ho ise janab
ise samjhne mai ulajh jaaoge
jo na samjhe to haasil kar paaoge
ye labzon se na ho bayan
ise to sirf rooh mai mile panaah
iske piche bhago jitna ye utna bhaage aage
jab karm karo bin fal ke ye daudi chali aaye
jab tumhe dekh log kahen bade khush ho mian
to rooh tumhari bole JI HAAN !!
No comments:
Post a Comment