Tanha mera man kuch kho gaya ho jaise
Samjh na paye kya ho raha hai waise
Khane ko roti, rehne ko makan
Pehnne ko kapde aur biwi, bacche samet ek chota sa pariwar
Subah se shaam kaam kaam
Weekend pe hi bas mile aaram
Bachhe bhi sikh gaye ab to
Agar khali dikhe to bole meeting mai nahin join karna kya aapko
Samarpit kara jivan corporate ko
Monthly salary ki lat ne marwa dala sab ko
Jine ka andaz kuch ajeeb sa lage
Jab aadmi doosre se baat uski gaadi dekh ke kare
Hod machi hai poonji jama karne ki
Pucho to bole tayaari karni hai maine apne baacho ke bhavishay ki
Hua mann baichain ye soch kar ki kya hai jivan ka arth is dharti par
Par uttar na mile use kahin par
Dhoondth phir raha wo kitabo, jyotish, guru aur pandit ke paas
Par wo bhi kahan jante iska uttar janab
Paise mai simat kar reh gayen hain sare rishte nate
Jise mile use log samjhe dhanwan
Par tanha kyoon rahe phir bhi uska man hai bhagwan
Aadmi ko paisa nahin bhaichara bhata
Economics ke professor ko ye kahan samjh aata
Equations mai tol ke rakh di hain sari batain
Kaise inhe koi samjhaye ki dil se ki jati hain saari batain
Soch raha man kyon ye tanhaee sataye
Pagla ye na samjhe aadmi khul ke ji na paye
Jakad liya ho jaise samaaj ne usko bediyoon mai
Dhoondh ta phir raha wo kaise isse nikla jai
Buddhu chal dosto ke saath weekend pe ek aur trip laga aayen
No comments:
Post a Comment